Kalma Astaghfar Kya Hai
Kalma Astaghfar ek behtareen zariya hai Allah Subhanahu Wa Ta’ala se apni maghfirat talab karne ka. Hamein chahiye ke hum Allah Subhanahu Wa Ta’ala se jab bhi apne gunahon ki bakhshish karwayein ya maghfirat talab karein to hum yeh dua padh kar karein.
Kalma Astaghfar Kab Padha Jaye
Kalma Astaghfar hum kabhi bhi padh sakte hain. Jis waqt hum Allah Ta’ala se maghfirat ki talab kar rahe ho uss waqt padh sakte hain. Jaise ki Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne kuchh waqt aise bataaye hain jiss waqt Allah Subhanahu Wa Ta’ala gunah ki maafi aur dua qubool karte hain. Jaise Allah Subhanahu Wa Ta’ala raat ke tisre pahar mein pehle arsh par aate hain aur farmate hain: ‘Koi hai mujhse dua maangne wala ki main uski dua qubool kar loon? Koi hai mujhse maangne wala ki main usko de doon? Koi hai mujhse bakhshish talab karne wala ki main usse baksh doon?’ Uss waqt ko tahajjud ka waqt kaha jata hai. Agar aapki koi dua ya kisi tarah ke gunah ki bakhshish karni ho to tahajjud ke waqt par apne gunahon ki maafi talab kar sakte hain. Kalma In Hindi bhi isi tarah se padh kar gunahon ki maafi talab ki ja sakti hai. Yeh dua humein Allah se maafi maangne ka sabse behtareen tareeqa sikhati hai.
Istaghfar Ka Ek Khaas Mahina Bhi Hai
Woh khaas mahina hai Ramzan ka, isliye ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai: ‘Laanat ho, halaakat ho, barbaadi ho uss shakhs ke liye jo Ramzan jaisa mahina paaye aur uss mahine mein apni maghfirat na kara sake.’ Toh pata chala ke Ramzan ka mahina ek season hai astaghfar ke liye, ke hum kasrat se astaghfar karein aur apne gunahon ki maafi maangein. Aur jo aisa na kar sake uspar laanat hai.
Astaghfar Ke Liye Ek Khaas Raat Bhi Hai
Jisme Allah Ta’ala khususi taur par tauba aur astaghfar qubool karte hain. Woh raat Ramzan ke andar aane wali 5 raatein, jisse Lailatul Qadr ke naam se jaana jata hai. Yeh Ramzan ke aakhri ashre ki tak raaton mein se koi ek raat hai, koi fix ek raat nahi hai. Isme bhi hum maafi maangte hain.
Kalma Astaghfar Parhne Ke Fayde Hadees Ki Roshni Mein
Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Nuh Alaihis Salam ki Surah Nuh ke andar uss haalat ko bayaan kiya jab unhone apni qaum ko dawat di. Woh qaum imaan na layi. Uske baad Allah ki taraf ruju huye aur Allah Ta’ala se kaha iss qaum ko halaak kar de. Usse pehle aap batate hain: Allah Ta’ala, maine iss qaum ke saath kya kya kiya? Usme Allah Ta’ala bayan karta hai:
“Yeh meri qaum, tum Allah Ta’ala se astaghfar karo, maafi maango apne gunahon ki. Tum use yaqeenan maaf karne wala paoge.” Phir farmaya: “Agar tum Allah se tauba istaghfar karoge to uska natija kya hoga? Dunyavi fayda kya hoga? Aasman se Allah Ta’ala nafa baksh musladhar baarish ko barsaayega. Aur tumko maal mein barkat dega. Aur tumhe aulad mein barkat dega. Aur tumhare liye bagaat bana dega aur usme nehrein jari kar dega.”
Shoaib Alaihis Salam ne farmaya: “Yeh meri qaum, aisa na ho ke jo azaab Nuh Alaihis Salam ki qaum par aaya jiska tumhe pata hai, ya jo azaab qaum-e-Hud par aaya, ya jo azaab qaum-e-Saleh par aaya, aisa na ho ke wahi tum par bhi aa jaye. Aur yeh bhi kaha: Luth Alaihis Salam ki qaum to tumse bahut qareeb hai, jaa ke dekh lo unke haalat. Yeh to tumse qareeb hai kitna. Aur yeh kaha: Aye meri qaum, aitraz chhod do, Rab se tauba astaghfar karo.”
Kalma Astaghfar Ki Dua
Astaghfirullah Rabbi Min Kulli Zambin Az-Zanb Nabatuhu ‘Amadan Aw Khat’an Sirran Aw ‘Alaniyatan Wa Atubu Ilaihi Min Az-Zambi Alladhi La A’lamu, Innaka Anta ‘Allamul Ghaibi Wa Sattaral ‘Uyubi Wa Ghaffaruz Zunubi, Wala Hawla Wala Quwwata Illa Billahil ‘Aliyyil ‘Azim.
Kalma Astaghfar Ki Dua Tarjuma:
Main apne Parwardigar se apne tamaam gunaahon ki maghfirat maangta hoon jo maine jaanboojh kar kiye ya bhool kar kiye, yeh chhup kar kiye ya khullam khulla kiye! Aur tauba karta hoon main us gunaahon se jo main jaanta hoon aur us gunaahon se jo main nahi jaanta. Yeh Allah, beshak tu ghaib ki baatein jaanne wala hai aur aibon ko chhupane wala hai! Aur gunaahon ko bakshne wala hai. Aur humein gunaahon se bachne aur neki karne ki taqat nahi Allah ke baghair, jo ke bohot buland wala hai. Islamic Jankari ke mutabiq, yeh dua insaan ko apne gunaahon ki maafi maangne aur tauba karne mein madad karti hai.
Conclusion
Kalma Astaghfar Allah se maghfirat talab karne ka ek ahem zariya hai. Yeh insaan ke gunahon ki maafi ka sabab banta hai aur duniya aur aakhirat mein barkat laata hai. Tahajjud, Ramzan, aur Lailatul Qadr iske liye behtareen waqt hain.